मेरी माँ

main kabhi batlaata nahi….
par andhere se darta hoon main maa

yuun to main dikhlaata nahi….
teri parwaah karta hoon main maa

tujhe sab hai pata….
hai na maa
tujhe sab hai pata…
meri maa

bheed mein yuun na chhodo mujhe….
ghar laut ke bhi aana paau maa

bhejna itna door mujhko tu….
yaad bhi tujhkoaana paau maa

kya itna bura….
hoon main maa
kya itna bura…
meri maa

jab bhi kabhi papa mujhe….
zor zor jhula jhulate hai maa

meri nazar dhoondhe tujhe….
sochun yahi tu aake thaamegi maa

unase main yeh kehta nahi….
par main seham jaata hoon main maa

chehre mein aane deta nahi….
dil hi dil mein ghabraata hoon main

tujhe sab hai pata….
hai na maa
tujhe sab hai pata…
meri maa

o main kabhi batlaata nahi….
par andhere se darta hoon main maa

yuun to main dikhlaata nahi….
teri parwaah karta hoon main maa

tujhe sab hai pata…. hai na maa tujhe sab hai pata… meri maa

0 click here to comment: